Saturday, June 26, 2010

Deedaar

aaj kal hawa kuch sard hai,
kyun rehta dil mein dard hai,
har dhadkan par lagata hai aahat hai uski,
na jaane yeh ehsaas kyun hai,
bebasi mein bhi khush ab rehta hai yeh dil,
khushi mein gum ka sahil hota hai yeh dil,
isey chaahat kahoon, ya kahoon isey pyaar,
rehta hai dil bekaraar,
karne mere humdum ka deedaar.

--Vineet 'The Bard'