Wednesday, October 8, 2008

Yaad.

Keh-kashon mein aaj bhi mera jikkar kiya jata hai,
bhooley bisron mein mujhe gina jaata hai,
yaad nahin ab mujhe kab tha wo khush pal,
par har lamha inn logo ka har fikra mujh par hi kasa jata hai.

Monday, October 6, 2008

Gham! (Despair)






Mere gham se roshan hai ye chiraag andheron ke,

dil ka sooraj ab doob gaya karte intezaar saveron ke,

aur ab aansoon ka chaand falak mein kayam hai.


Farishton ne bhi umeed ka dhaagaa hai kheech liya,

ab majhdhaar mein doob rahi hai meri naav,

to apno ne bhi hai muh pher liya,

Ab tanha iss safar mein kuch nahin hai mere haath,

bas ek toota sitara hoon main.

--Vineet Aggarwal "The Bard"